Wednesday, October 24, 2007

Sab log liye sang-e-malamat nikal aaye – Ahmed Faraz



Sab log liye sang-e-malamat nikal aaye
kis shahar mein hum ahal-e-muhabbat nikal aaye
ab dil ke tamanna hai to ae kash yahi ho
aansu ke jagah aankh se hasrat nikal aaye
har ghar ka diya gul na karo tum ke na jane
kis bam se khurashid-e-qayamat nikal aaye
jo darpa-e-pindar hain un qatlgahon se
jan deke bhi samajho ke salamat nikal aaye
ae hamnafason kuch to kaho ahad-e-sitam ke
ik harf se mumkin hai hikayat nikal aaye
yaro mujhe masalub karo tum ke mere bad
shayad ke tumhara qad-o-qamat nikal aaye


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Ahmed Faraz



No comments:

Post a Comment