Monday, October 22, 2007

Zindagi jaisi tamanna thi nahi kuch kam hai – Shahryar



Zindagi jaisi tamanna thi nahi kuch kam hai
har ghadi hota hai ehasas kaheen kuch kam hai
ghar ke tamir tasavvur hi mein ho sakati hai
apne naqshe ke mutabiq ye zamin kuch kam hai
bichde logon se mulaqat kabhi phir hogi
dil mein umeed to kafi hai yaqin kuch kam hai
ab jidhar dekhiye lagata hai ki is duniya mein
kaheen kuch cheez ziyada hai kaheen kuch kam
aj bhi hai teri duri hi udasi ka sabab
ye alag baat ki pahali si nahi kuch kam hai


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Shahryar



No comments:

Post a Comment