Monday, October 29, 2007

Tere jalave ab mujhe har su nazar aane lage – Saba Afghani



Tere jalave ab mujhe har su nazar aane lage
kash ye bhi ho ke mujh mein tu nazar aane lage
ibtada ye thi ke dekhi thi khushi ke ek jhalak
intaha ye hai ke gham har su nazar aane lage
beqarari badhate badhate dil ke fitarat ban gai
shayad ab taskin ka pehlu nazar aane lage
khatm karade ae ‘saba’ ab sham-e-gam ke dastan
dekh un aankhon mein bhi aansu nazar aane lage


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Saba Afghani



No comments:

Post a Comment