Monday, October 22, 2007

Kabar shayari



meri kabar pe aake tum awaaz nahi karna
dard ki nayii daastan ka aagaaz nahi karna…


apni bebassi ko khud hii byaan karega ye
chehre ko kisi aaine ka mohthaaz nahi karna…


raaz Jo khud se hii na chhipaa paao tum
aise raaz mein kisi ko hamraaz nahi karna…


namumkin hai haqikat ke aasman mein urnaa
khaabon ke sahare isme parwaaz nahi karna…


zakham phir zakham hai.N ik roz bhar jaynge
husan wallon ko inke charasaaz nahi karna…


khaakh se bane ho khaakh mein mil jaaoge
kabhi bhoole se bhi khud pe naaz nahi karna…



Bichad Gai Saanse Meri, Bina Ruh Tan Chalu Kaise,
Khuda Ne Milaya Tujhse, Khuda Se Gila Jatau Kaise…


Kured Kured Ke Likha Thha Naam Tera Apne Dil Pe,
Ab Dil Se Naam Mitau To Akhir Mitau Kaise…


Nishan Baki Hai Ab Bhi Tere Labo Ke Mere Gaalo Pe,
Lahu Bahake Palkon Se In Galo Ko Neh’lau Kaise…


Jin Raaton Me Shadiiik Mahhobbat Kii Thhi Tuune,
Aaj Un Suunii Raaton Ko Mein Sulaau Kaise…


Panaahon Me Teri Din Biite Umar Guuzari,
Fiir Teri Yaadon Ko Dil Se Bhuulau Kaise…


In Nigaaho Me Tassavur Hai Tera Aaj Bhi,
Banaake Ashq Tujhe Nigaho Se Giraau Kaise…


Bachaati Rahi Jiss Chaman Ko Fiizao Ke Rukh Se,
Aaj Usi Chaman Ko Sehara Me Bahau Kaise….


Ba’basta Rahi “Pooja” Ki Khushiya Sadaa Tujhse,
Ab Tu Hi Bataa Zindagi Pe Apni Kaffan Bichhau Kaise…



Kabar ki mitti utha ke le gaya koi,
isi bahane humein choo kar chala gaya koi,
tanhayi aur andhere mein khush they hum,
lekin phir se intezaar karne ki wajah de gaya koi..



Share with us more ..Kabar shayari ..in comments section below



No comments:

Post a Comment