Wednesday, October 24, 2007

Kaheen chand rahon mein kho gaya kaheen chandani bhi bhatak gai – Bashir Badr



Kaheen chand rahon mein kho gaya kaheen chandani bhi bhatak gai
main charag wo bhi bujha hua meri raat kaise chamak gai
meri dastan ka uruj tha teri narm palkon ke chanv mein
mere sath tha tujhe jagana teri aankh kaise jhapak gai
kabhi hum mile to bhi kya mile wohi duriyan wohi fasale
na kabhi hamare qadam badhe na kabhi tumhari jhijhak gai
tujhe bhool jane ke koshishen kabhi qamayab na ho sakin
teri yaad shakh-e-gulab hai jo hawa chali to lachak gai



Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Bashir Badr



No comments:

Post a Comment