Tuesday, October 16, 2007

Har bezaban ko sholanava kah liya karo – Qateel Shifai



har bezaban ko sholanava kah liya karo
yaro sukut hi ko sada kah liya karo
khud ko fareb do ki na ho talkh zindagi
har sangdil ko jane-e-vafa kah liya karo
gar chahate ho khush rahen kuch bandagan-e-khas
jitne sanam hain un ko khuda kah liya karo
insan ka agar qad-o-qamat na badh sake
tum is ko nuqs-e-ab-o-hava kah liya karo
apne liye ab ek hi rah-e-nijat hai
har zulm ko raza-e-khuda kah liya karo
le de ke ab yahi hai nishan-e-ziya “qateel”
jab dil jale to us ko diya kah liya karo




Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Qateel Shifai



No comments:

Post a Comment