Monday, January 20, 2014

Charag apne thakan ke koi safai na de



charag apne thakan ke koi safai na de
wo tiragi hai ke ab khwab tak dhikhai na de


bahut satate hain rishte jo tut jate hain
khuda kisi ko bhi taufiq-e-ashanai na de


main sari umr andheron mein kat sakata hun
mere diyon ko magar raushani parai na de


agar yahi teri duniya ka hal hai malik
to meri qaid bhali hai mujhe rihai na de


dua ye mangi hai sahame hue mu’arrik ne
ke ab qalam ho khuda surkh raushnai na de


Poet of the poem/ghazal or Nazam: Meraj Faizabadi



No comments:

Post a Comment