Saturday, January 4, 2014

Na rasta na koi dagar hai yahan – Makhmoor Saeedi



Na rasta na koi dagar hai yahan
magar sab ke qismat safar hai yahan
sunai na degi dilon ke sada
dimagon mein wo shor-o-shar hai yahan
hawaon ke ungali pakad kar chalo
vasila ik yahi motabar hai yahan
na is shahar-e-behis ko sehra kaho
suno ik hamara bhi ghar hai yahan
palak bhi jhapakate ho “makhmoor” q
tamasha bahut mukhtasar hai yahan


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Makhmoor Saeedi



No comments:

Post a Comment