Monday, January 6, 2014

Dil valo kya dekh rahe ho in rahon mein – Razi Tirmazi



Dil valo kya dekh rahe ho in rahon mein
hadd-e-nazar tak ye virani sath chalegi
sannate phir shaman ke aansu chat rahe hain
ye basti to ujad gai hai ab na basegi
ghar ke andar sare jangal ka sannata
sham hui to jangal mein hawa chalegi
jin ke hathon dil ke tauhin hui hai
un ke liye bhi ye duniya aisi na rahegi
“razi” miyan tum sham se kaise chup baithe ho
kuch to bolo aisi chup se baat badhegi



Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Razi Tirmazi



No comments:

Post a Comment