mere sath tum bhi dua karo yun kisi ke haq mein bura na ho
kaheen aur ho na ye hadasa koi raste mein juda na ho
mere ghar se raat ke sej tak wo ik aansu ke lakir hai
zara bad ke chand se puchana wo isi taraf se gaya na ho
note: some books have the first misra of the above sher as:
meri chat se raat ke subah tak koi aansuon ke lakir hai
sar-e-sham thahari hui zamin, aasaman hai jhuka hua
isi mod par mere vaste wo charag le kar khada na ho
wo farishte aap hi dhundhiye kahaniyon ke kitab mein
jo bura kahen na bura sune koi shakhs un se khafa na ho
wo visal ho ke firaq ho teri aag mahakegi ek din
wo gulab ban ke khilega kya jo charag ban ke jala na ho
mujhe yun laga ki khamosh khushbu ke honth titali ne chu liye
inhin zard patton ke ot mein koi phul soya hua na ho
isi ehatiyat mein main raha, isi ehatiyat mein wo raha
wo kahan kahan mere sath hai kisi aur ko ye pata na ho
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Bashir Badr
No comments:
Post a Comment