Sar pe saya sa dast-e-dua yaad hai
apne aangan mein ik ped tha yaad hai
jis mein apni parindon se tashbih thi
tum ko skul ke wo dua yaad hai
aisa lagata hai har imtahan ke liye
zindagi ko hamara pata yaad hai
maikade mein azan sun ke roya bahut
is sharabi ko dil se khuda yaad hai
main purani haveli ka parda mujhe
kuch kaha yaad hai kuch suna yaad hai
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Bashir Badr
No comments:
Post a Comment