Wednesday, March 4, 2009

Kya khabar thi is tarah se wo juda ho jayega



kya khabar thi is tarah se wo juda ho jayega
khwab mein bhi us ka milana khwab sa ho jayega
zindagi thi qaid hamen kya nikaloge us se
maut jab aa jayegi to khud riha ho jayega
dost banakar us ko chaha, ye kabhi socha na tha
dosti hi dosti mein wo khuda ho jayega
us ka jalva hoga kya jisaka ke parda nur hai
jo bhi us ko dekh lega wo fida ho jayega


Poet of the poem/ghazal or Nazam: Rustom Sehgal Wafa



No comments:

Post a Comment