Sunday, March 29, 2009

Na jee bhar ke dekha na kuch baat ke – Bashir Badr



Na jee bhar ke dekha na kuch baat ke
badi aarzoo thi mulaqat ke
kai saal se kuch khabar hi nahi
kahan din guzra kahan raat ke
ujalon ke pariyan nahane lagin
nadi gunagunai khayalat ke
main chup tha to chalati hawa ruk gai
zuban sab samajhate hain jazbat ke
sitaron ko shayad kahbar hi nahi
musafir ne jane kahan raat ke
muqaddar mere chashm-e-pura’ab ka
barasati hui raat barsat ke


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Bashir Badr



No comments:

Post a Comment