Tuesday, March 10, 2009

Honton pe kabhi un ke mera naam hi aaye – Ada Badayuni



honton pe kabhi un ke mera naam hi aaye
aaye to sahi bar-sar-e-ilzam hi aaye
hairan hain labbasta hain, dilgir hain gunche
khushbu ke zubani tera paigam hi aaye
lamhat-e-masarrat hain tasavvur se gurezan
yaad aae hain jab bhi gam-o-alam hi aaye
taron se saja lenge rah-e-shahar-e-tamanna
maqadur nahi subho chalo sham hi aaye
yadon ke vafaon ke aqidon ke gamon ke
kam aaye jo duniya mein to is naam hi aaye
kya rah badalne ka gila hamsafaron se
jis rah se chale tere dar-o-bam hi aaye
thak har ke baithe hain sar-e-ku-e-tamanna
kam aaye to phir jazba-e-nakam hi aaye
baqi na rahe sakh “ada” dasht-e-junun ke
dil mein agar andesha-e-anjam hi aaye


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam :Ada Badayuni



No comments:

Post a Comment