chand se phul se ya meri zuban se suniye
har taraf aap ka qisa jahan se suniye
sab ko aata hai duniya ko sata kar jina
zindagi kya muhabbat ke dua se suniye
meri aavaz parda mere chehare ka
main hun khamosh jahan mujhako vahan se suniye
kya zaruri hai ki har parda uthaya jaye
mere halat apne apne makan se suniye
Poet of the poem/ghazal or nazam : Nida Fazli
No comments:
Post a Comment