Itna to zindagi mein kisi ke khalal pade
hansane se ho sukun na rone se kal pade
jis tarah hans raha hun main pi-pi ke ashk-e-gam
yun dusara hanse to kaleja nikal pade
ek tum ke tum ko fikr-e-nasheb-o-faraz hai
ek hum ke chal pade to baharahal chal pade
muddat ke bad us ne jo ke lutf ke nigah
jee khush to ho gaya magar aansu nikal pade
saqi sabhi ko hai gam-e-tashnalabi magar
may hai usi ke naam pe jis ke ubal pade
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Kaifi Azmi
No comments:
Post a Comment