Monday, March 30, 2009

Mit gaya jab mitane vala phir salam aaya to kya – Dil Shahjahanpuri



mit gaya jab mitane vala phir salam aaya to kya
dil ke barbadi ke bad un ka payam aaya to kya
chut gain nabzen ummiden dene vali hain javab
ab udhar se namabar leke payam aaya to kya
aj hi mitana tha ae dil hasarat-e-didar mein
tu meri nakamiyon ke bad kam aaya to kya
kash apni zindagi mein hum ye manzar dekhte
ab sar-e-turbat koi mahashar-khiram aaya to kya
sans ukhadi aas tuti cha gaya jab rang-e-yas
namabar laya to kya khat mere naam aaya to kya
mil gaya wo khak mein jis dil mein tha arman-e-did
ab koi khurshid-vash bala-e-bam aaya to kya


 
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam :Dil Shahjahanpuri



No comments:

Post a Comment