pareshan raat sari hai sitaron tum to so jao
sukut-e-marg tari hai sitaron tum to so jao
hanson aur hansate-hansate dubate jao khalaon mein
hamen ye raat bhari hai sitaron tum to so jao
tumhen kya aj bhi koi agar milane nahi aaya
ye bazi hum ne hari hai sitaron tum to so jao
kahe jate ho ro-roke hamara hal duniya se
ye kaisi razadari hai sitaron tum to so ja
hamen to aj ke shab pau phate tak jagana hoga
yahi qismat hamari hai sitaron tum to so jao
hamen bhi neend aa jayegi hum bhi so hi jayenge
abhi kuch beqarari hai sitaron tum to so jao
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam :Qateel Shifai
No comments:
Post a Comment