Tuesday, March 31, 2009

Hawa ke aavaz – Munir Niazi



Hawa ke aavaz
khushk patton ke sarsarahat se bhar gai
rosh-rosh par fatada phoolon ne
lakhon nauhe jaga diye hain
sileti shuayen
buland pedon par gul machate
siyah kauon ke qafilon se ati hui hain
har ek janib khizan ke qasid lapak rahe hain
har ek janib khizan ke aavaz gunjati hai
har ek basti kashakash-e-marg-o-zindagi se nidhal hokar
musafiron ko pukarati hai ki – aao
mujh ko khizan ke bemahar
talkh ehasas se bachao


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Munir Niazi



No comments:

Post a Comment