hamesha hai vasl-o-judai ka dhandha
buton ke hai ulfat khudai ka dhandha
agar baithe rindon ke sohabat mein zahid
to den chod sab parasai ka dhandha
jo hona hai aakhir wo hokar rahega
kare kon bakhtazamai ka dhandha
pareshan rahi umr bhar par na choda
teri zulf ne kajadai ka dhandha
mubarak raison ko kar-e-riyasat
gada ko hai kafi gadai ka dhandha
nahi khizr ke piche gar aur jhagade
to hai sath ik rahnumai ka dhandha
‘zafar’ is se bahatar hai nashanai
ki mushkil hai ye aashanai ka dhandha
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Zafar Gorakhpuri
This is not by the powt Zafar Gorakhpuri, this has been written by Bahadur Shah Zafar.
ReplyDelete