Ye Duniya Tere Khatir Na Thi Shaayad
Ay Chaand Tujhe Yahaan Na Aana Tha
Bekaar Tatolta Raha In Pattharon Ko
Yahaan Mohobbat Ka Phool Na Khil Paana Tha,
Khoobsoorat Chehron Ke Pichhe
Makkariyon Ka Ambaar Dekha,
Insaaniyat,Pyar, Sachaai Jahaan Bikti Hai
Hamne Yahaan Wo Baazaar Dekha,
Apne Se Nazar Aane Waale
Bachpan Saath Bitaane Waale,
Mere Umron Lambe Doston Ki
Dosti Or Eitbaar Dekha,
Ghar, Daftar, Dukaanon Me
Mai Soude Baaziyan Jhelta Raha,
Mai Karta Raha Viswaas Sabpar
Har Ek Is Viswaas Se Khelta Raha,
Bada Eitbaar Tha Jis Chaandni Par
Wo Bhi Juda Ho Gai,
Jara Baadal Kya Chaaye
Wo Apna Vishwaas Kho Gai,
Har Rishte Ki Gehraai Me
Meine Daulat Ka Prabhaav Dekha,
Milna Milaana To Khoob Tha
Par Unme Khushboo Ka Aabhaav Tha.
Chaand
Koi Mere Dil Se Khelta Hai
Koi Mere Desh Se Khelta Hai,
Wo Uparwaala Jaane Kahaan Baitha Hai
Kya Wo Bhi Meri Hi Tarah,
Is Jahaan Ki, Makkaariyon Ko Jhelta Hai.
No comments:
Post a Comment