Sunday, April 15, 2007

marane ke duayen q mangun jine ke tamanna kon kare – Moen Ahsan Jazbi



marane ke duayen q mangun jine ke tamanna kon kare
ye duniya ho ya wo duniya ab khvahish-e-duniya kon kare
jo aag lagai thi tum ne us ko to bujhaya ashkon ne
jo ashkon ke bhadakai hai us aag ko thanda kon kare
jab kashti sabit-o-salib thi, sahil ke tamanna kis ko thi
ab aisi shikasta kashti mein sahil ke tamanna kon kare
duniya ne hamen choda ae dil, hum chod na de kyon duniya ko
duniya ko samajh kar baithe hain ab duniya duniya kon kare


 
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam :Moen Ahsan Jazbi




No comments:

Post a Comment