Wednesday, April 25, 2007

aag puri kahan bujhi hai abhi – Midahtul Akhtar



aag puri kahan bujhi hai abhi
dida-e-tar mein tishnagi hai abhi


doston se chuka raha hun hisab
dushmanon se kahan thani hai abhi


dost kah kar mujhe na de gali
dil pe ik zakhm-e-dosti hai abhi


kat de ye bhi khudparasti mein
aur thodi si zindagi hai abhi


jane kyon kund ho gaya nashtar
zakhm ke dhar to vahi hai abhi


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Midahtul Akhtar



No comments:

Post a Comment