Saturday, April 21, 2007

Lai hayat aaye qaza le chali chale – Ibrahim Zauq



Lai hayat aaye qaza le chali chale
na apni khushi aaye na apni khushi chale


behatar to hai yahi ke na duniya se dil lage
par kya karen jo kam na bedillagi chale
ho umr-e-khizr bhi to kahenge bavaqt-e-marg
hum kya rahe yahan abhi aaye abhi chale


duniya ne kis ka rah-e-fana mein diya hai sath
tum bhi chale chalo yun hi jab tak chali chale


nazan na ho khirad pe jo hona hai wo hi ho
danish teri na kuch meri danishvari chale


kam honge is bisat pe hum jaise badqimar
jo chal hum chale wo nihayat buri chale
ja ki hava-e-shauq mein hain is chaman se ‘zauq’
apni bala se bad-e-saba kaheen chale



Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Ibrahim Zauq



No comments:

Post a Comment