Thursday, April 19, 2007

Jab wo masarur nazar aata hai – Sikander Ali Wajd



jab wo masarur nazar aata hai
har taraf nur nazar aata hai
main to maikhvar hun tu kyon saqi
nashe mein choor nazar aata hai
qurb se hath uthaya main ne
tu badi dur nazar aata hai
main hi tanha nahi dil ke hathon
tu bhi majabur nazar aata hai
khaksari ko chupane ke liye
‘wajd’ magarur nazar aata hai




Poet of the Poem / Ghazal or Nazam :Sikander Ali Wajd



No comments:

Post a Comment