Wednesday, April 18, 2007

Marate hain tere pyar se hum aur ziyada – Ibrahim Zauq



marate hain tere pyar se hum aur ziyada
tu lutf mein karta hai sitam aur ziyada
den kyon ki na wo dag-e-alam aur ziyada
qimat mein badhe dil ke diram aur ziyada


kya hovega do char qadah se mujhe saqi
main lunga tere sar ke qasam aur ziyada


wo dil ko churakar jo lage aankh churane
yaron ka gaya un pe bharam aur ziyada
kyon main ne kaha tujh sa khudai mein nahi aur
magarur hua ab wo sanam aur ziyada
lete hain samar shakh-e-samaravar ko jhukakar
jhukate hain sakhi vaqt-e-karam aur ziyada


jo kunj-e-qana’at mein hain taqadir pe shakir
hai “zauq” barabar unhen kam aur ziyada


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam :Ibrahim Zauq



No comments:

Post a Comment