Sunday, April 22, 2007

Udas kagazi mausam mein rang-o-bu rakh de -Bekal Utsahi



udas kagazi mausam mein rang-o-bu rakh de
har ek phul ke lab pe mera lahu rakh de
zaban-e-gul se chattanen tarashane wale
sukut-e-naqsh mein aaraish-e-namu rakh de
giran lage hai jo ehsaan dast-e-qatil ka
uth aur teg ke lab pe rag-e-gulu rakh de
chala hai janib-e-maikhana aj phir waiz
kaheen na jam pe lab apne bevazu rakh de
khuda kare mera munsif saza sunane mein
mera hi sar mere qatil ke ru-ba-ru rakh de
samandaron ne bulaya hai tujh ko ae ‘bekal’
tu apni pyas ke sahara mein aabaru rakh de


Poet of  the Poems / Ghazal or Nazam :Bekal Utsahi



No comments:

Post a Comment