Tuesday, April 17, 2007

Rishta ye kaisa hai nata ye kaisa hai – Madanpal



Rishta ye kaisa hai nata ye kaisa hai
pehchan jis se nahi thi kabhi
apna bana hai wohi ajanabi
rishta ye kaisa hai nata ye kaisa hai
tumhen dekhte hi rahun main
mere samane yun hi baithe raho tum
karun dil ke baten main khamoshiyon se
aur apne labon se na kuch bhi kaho tum
ye rishta hai kaisa ye nata hai kaisa
tere tan ke khushbu bhi lagti hai apni
ye kaisi lagan hai ye kaisa milan hai
tere dil ke dhadakan bhi lagti hai apni
tumhen pake mahasus hota hai aise
ke jaise kabhi hum juda hi nahi the
ye mana ke jismon ke ghar to naye hain
magar hai purane ye bandhan dilon ke


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Madanpal



No comments:

Post a Comment