Sunday, April 29, 2007

Aaiye hath uthayen hum bhi – Faiz Ahmed Faiz



Aaiye hath uthayen hum bhi
hum jinhen rasm-e-dua yaad nahi
hum jinhen soz-e-mohabbat ke siwa
koi but, koi khuda yaad nahi
aaiye arz guzaren ki nigar-e-hasti
zahar-e-imaroz mein shirini-e-fardan bhar de
wo jinhen tabe garanbari-e-ayyam nahi
unaki palkon pe shab-o-roz ko halka kar de
jinaki aankhon ko rukh-e-subh ka yara bhi nahi
unaki raton mein koi shama munawwar kar de
jinake qadmon ko kisi rah ka sahara bhi nahi
unaki nazron pe koi rah ujagar kar de
jinaka din pairavi-e-kazbo-riya hai unko
himmat-e-kufr mile, jurat-e-tahaqiq mile
jinake sar muntazir-e-teg-e-jafa hain unko
dast-e-qatil ko jhatak dene ke taufiq mile
ishq ka sarr-e-nihan jan-tapan hai jis se
aj iqarar karen aur tapish mit jaye
harf-e-haq dil mein khatakata hai jo kante ke tarah
aj izahar karen or khalish mit jaye


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Faiz Ahmed Faiz



No comments:

Post a Comment