Saturday, December 16, 2006

Zakhm Muskuratay Hain



Zukham Muskaratay Hain Ab Bhi Teri Aahat Par
Dard Bhool Jatay Hain Ab Bhi Tairi Aahat Par


Shubnami Sitaroo Main Phool Khilnay Lagtay Hain
Chand Muskaratay Hain Ab Bhi Tairi Aahat Par


Umer Kaat Di Liken Buchpana Nahi Jata Hain
Hum Diyay Jalatay Hain Ab Bhi Tairi Aahat Par

Ghunteiya Si Bujti Hain Ruqs Honay Lagta Hain
Dard Jugmagatay Hain Ab Bhi Tairi Aahat Par


Tairi Yaad Aaein Tou Neend Jati Rehti Hain
Khawab Toot Jatay Hain Ab Bhi Tairi Aahat Par


Jo Situm Karay Tou Sub Qubool Hain Dil Ko
Hum Khushi Munatay Hain Ab Bhi Tairi Aahat Par


Ab Bhi Tairi Aahat Par Chand Muskarata Hain
Khawab Gugnatay Hain Ab Bhi Tairi Aahat Par


Tairay Hijjar Main Hum Par Ek Azab Tari Hain
Chonk Chonk Jatay Hain Ab Bhi Tairi Aahat Par


Dastakeen Sajanay Kay Manzar Nahi Rahtay
Rastay Sajatay Hain Ab Bhi Tairi Aahat Par


Ab Bhi Tairi Aahat Par Aas Lout Aati Hain
Hum Diyay Jalatay Hain Ab Bhi Tairi Aahat Par



No comments:

Post a Comment