Thursday, December 21, 2006

Tod kar uthe hain jam-o-shisha-o-paimana hum – Ravish Siddiqui



Tod kar uthe hain jam-o-shisha-o-paimana hum
kis se kah den aj raz-e-gardish-e-mastana hum
bijaliyan ruposh tufan dam bakhud sahara khamosh
ja rahe hain kis taraf ae lagzish-e-mastana hum
zindagi ik mustaqil sharah-e-tamanna thi magar
umr bhar teri tamanna se rahe begana hum
tujh mein bhi kuch hosh-mandana adayen aa gain
tujh se bhi ab badaguman hain ae dil-e-divana hum
khushk aankhen dil shikasta ruh tanha lab khamosh
bastiyon se dekhte hain surat-e-virana hum
hum tak ab aaye na aaye daur-e-paimana “ravish”
mutamain baithe hain zer-e-saya-e-maikhana hum


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Ravish Siddiqui



No comments:

Post a Comment