Monday, December 25, 2006

Mdeke mein mere saqiya meri tashnagi ko hawa na de – Ganesh Bihari Tarz

mujhe deke mein mere saqiya meri tashnagi ko hawa na de
meri pyas par bhi to kar nazar mujhe maikashi ke saza na de
mera sath ae mere hamsafar nahi chahata hai to jam de
magar is tarah sar-e-rahguzar mujhe har qadam pe sada na de
mera gham na kar mere charagar teri charajoi baja magar
mera dard hai meri zindagi mujhe dard-e-dil ke dawa na de
main vahan hun ab mere naseha ki jahan khushi ke guzar nahi
mera gham hadon se guzar gaya mujhe ab khushi ke dua na de
wo girayen shauq se bijaliyan ye sitam karam hain sitam nahi
ke wo ‘tarz’ barq-e-jafa nahi jo chamak ke nur-e-vafa na de

 Poet of the Poem / Ghazal or Nazam :Ganesh Bihari Tarz

No comments:

Post a Comment