Saturday, December 23, 2006

wohi phir mujhe yaad aane lage hain – Khumar Barabankvi



wohi phir mujhe yaad aane lage hain
jinhen bhulane mein zamane lage hain
wo hain pas aur yaad aane lage hain
muhabbat ke hosh ab thikane lage hain
suna hai hamen wo bhulane lage hain
to kya hum unhen yaad aane lage hain
hataye the jo raste se doston ke
wo pathar mere ghar mein aane lage hain
ye kahana tha un se muhabbat hai mujhko
ye kahane mein mujh ko zamane lage hain
qayamat yaqinan qarib aa rahi hai
‘khumar’ ab to masjid mein jane lage hain


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam :Khumar Barabankvi



No comments:

Post a Comment