Wednesday, December 20, 2006

Usulon pe jahan aanch aaye thakarana zaruri hai-Wasim Barelvi



usulon pe jahan aanch aaye thakarana zaruri hai
jo zinda hon to phir zinda nazar aana zaruri hai
nai umron ke khudmukhtariyon ko kon samajhaye
kahan se bach ke chalana hai kahan jana zaruri hai
thake hare parinde jab basere ke liye laute
saliqamand shakhon ka lachak jana zaruri hai
bahut bebak aankhon mein ta’alluq tik nahi pata
muhabbat mein kashish rakhane ko sharmana zaruri hai
saliqa hi nahi shayad use mahasus karne ka
jo kehta hai khuda hai to nazar aana zaruri hai
mere honton pe apni pyas rakh do aur phir socho
ki is ke bad bhi duniya mein kuch pana zaruri hai


Poet of  the Poems / Ghazal or Nazam :Wasim Barelvi



No comments:

Post a Comment