Wednesday, December 20, 2006

Mere hi lahu par guzar auqat karo ho – Kaleem Ajiz



mere hi lahu par guzar auqat karo ho
mujh se hi amiron ke tarah baat karo ho
din ek sitam ek sitam raat karo ho
wo dost ho dushman ko bii mat karo ho
hum khaqnashin tum sukhanaray sar-e-bam
pas aakar milo dur se kya baat karo ho
hum ko jo mila hai wo tumhin se to mila hai
hum aur bhula den tumhen kya baat karo ho
yun to muh pher ke dekho bhi nahi ho
jab waqt pade hai to madarat karo ho
na daman pe koi chint na khanjar pe koi daag
tum qatl karo ho ke karamat karo ho
bakane do “ajiz” ko jo bole hai bake hai
divana hai divane se kya baat karo ho


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Kaleem Ajiz



No comments:

Post a Comment