Tuesday, December 26, 2006

us ko aana hai aur be-naqab aayega-Ahmed faraz



us ko aana hai aur be-naqab aayega
jab tamanna pe mere shabab aayega
zulmaton ke pujari kahan jayenge
jab chamakata hua aafatab aayega
aj kal mujhase wo baat karta nahi
aur ab kya zamana kharab aayega
rand layega jab khoon mazalum ka
wo zamana bhi jaldi janab aayega
malik-e-maikada rind ho jayenge
maikade mein naya inqalab aayega
sath us ke siva koi dega nahi
jab “saba” ka zamana kharab aayega


 poet of the poem / ghazal or nazam : Ahmed faraz



No comments:

Post a Comment