Sunday, December 31, 2006

Afzal Hay Kul Jahan Say Ghraana Hussain Ka



Afzal Hay Kul Jahan Say Ghraana Hussain Ka


Nabiyon Ka taaj-Dar Hai Na Na Hussain Ka…!!!



——————————————————–



Paani Ki Talab Hoo To Ik Kaam Kia Kar


Karbala K Naam Pe Ik Jaam Peeya Kar,



Ki Mujh Ko “Hussain IBN-e-ALI” Nain Yeh Nasihat


Zaalim Ho Muqabil To Mera Naam Lia Kar…!!!


——————————————————–


Zrorat Thi Talwar Ki Na Hi Kisi Hithiaar Ki


Sirf Ik Dua Thi Karbala Main Alamdar Ki,



Faqat Mill Jaye Ijazat Aaqa Hussain Say


To Yad Dila Don Ga Jang Haider-e-Karrar Ki…!!!



——————————————————–



Sir-e-Hussain Mila Hai Yazed Ko Lekin


Gharoor Toot Gia Koi Martaba Na Mila.


“YAA HUSSAIN”…!!!


——————————————————–


Yon Hi Nahin Jahan Main


Charchaa “HUSSAIN” Ka,



Kuch Dekh Ke Hua Tha


Zamana “HUSSAIN” Ka,



Sar Dey k Doo Jahan Ki


Hakomat Kharid Li,



Mehnga Para yazeed Ko


Sooda “HUSSAIN” Ka …!!!


——————————————————–


Jis ko Arbab-e-Nazar Haq Ka WaLi Kehtay Hain


Sir-Ba-Sir Waqif-e-Israr-JaLi Kehty Hain,



Jisko Doba Hua Soraj B Palat kar Dekhy


Ham Usy Apney Aqeedy Main “ALI” kahtay Hain…!!!


No comments:

Post a Comment