Wednesday, December 13, 2006

Wo to khushbu hai hawaon mein bikhar jayega – parveen shakir



Wo to khushbu hai hawaon mein bikhar jayega
masala phul ka hai phul kidhar jayega
hum to samajhe the ke ek zakhm hai bhar jayega
kya khabar thi ke rag-e-jan mein utar jayega
wo hawaon ke tarah khanabajan phirta hai
ek jhonka hai jo aayega guzar jayega
wo jab aayega to phir us ke rafaqat ke liye
mausam-e-gul mere aangan mein thahar jayega
aakhirash wo bhi kaheen ret pe baithi hogi
tera ye pyar bhi dariya hai utar jayega
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam :parveen shakir



No comments:

Post a Comment