Thursday, December 14, 2006

Samay samay ke khalish mein tera malal rahe – Farhat Abbas Shah



Samay samay ke khalish mein tera malal rahe
judaiyon mein bhi yun aalam-e-visal rahe
ana ke jang mein hum jit to gaye lekin
phir us ke bad bahut der tak nidhal rahe
rah-e junun mein yahi zad-e-rah hota hai
ke justaju bade divanagi bahal rahe
hasin raten bhi mahaken tumhari yadon se
kade dinon mein bhi pal pal tera khayal rahe
tu ek bar zara kishtiyan jala to sahi
hai kya majal ke ek lamha bhi zaval rahe


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Farhat Abbas Shah



No comments:

Post a Comment