Wednesday, May 18, 2016

Sham hoti hai sahar hoti hai ye vaqt-e-ravan – Akhtar ul Iman



Sham hoti hai sahar hoti hai ye vaqt-e-ravan
jo kabhi mere sar pe sang-garan ban ke gira
rah mein aaya kabhi meri himala ban kar
jo kabhi ukda bana aisa ki hal hi na hua
ashk ban kar meri aankhon se kabhi tapaka hai
jo kabhi khun-e-jigar ban ke mizshgan par aaya
aj bevasta yun guzara chala jata hai
jaise main kashmakash-e-zist mein shamil hi nahi



Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Akhtar ul Iman



No comments:

Post a Comment