Maa ! Mujhay Neend Nahi Ate Ha
Aik Mudat Say Mujhay Neend Nahi Ate Ha
Maa ! Mujhay Loori Do
Maa ! Mujhay Neend Nahi Ate
Ratjagay Abb Tooh Muqaddar Hain Meri Palkoon K
Neend Aye Tooh Lay Ati Hai Bagdaad Ke Yaad
Ankh Lagtay He Koi Bewah Utha Deti Hai
Pait Jitna Bhi Bharron Bhook Nahi Mitti Hai
Jaltay Basra Ke Mujhay Payaas Jega Date Ha
Koye Kandhar Ke Wadi Say Bulata Ha Mujhay
Zikar Kandwaz Ka Aye To Mujhay Lagta Ha
Kat Kay Koye Sir Hansta Ha , Jalata Ha Mujhay
Bomb Ke Awazen Mujhay Kuch Nahi Kahten Mugar
Zakam In Bachon Kay Sonay Nahi Datay Han Mujhay
Mare Seenay Par Rakho Hath
Rula Do Na Mujhay
Maa ! Mujhay Loori Sunyo Na
Sula Do Na Mujhay
Maa ! Mujhay Neend Nahi Ate
Aik Mudat Say Neend Nahi Ate
No comments:
Post a Comment