Tuesday, May 10, 2016

Mohabbatein Jab Shumar Karna - Noshi Gilani Ghazal

Mohabbatein-Noshi-Gilani

Noshi Gilani Ghazal

Mohabbatein Jab Shumar Karna To Sazishain Bhi Shumar Karna
Jo Mere Hisse Mein Aai Hain Wo Aziyatein Bhi Shumar Karna
Shumar = Count; Sazishain = Conspiracies; Aziyatein = Tortures;
Jalaye Rakhon Gi Subha Tak Mein Tumhare Raston Mein Apni Aakhein
Magar Kahin Zabat Toot Jaye To Barishein Bhi Shumar Karna
Zabat = Confiscated
Jo Harf Looh-E-Wafa Pe Likhe Hue Hain Un Ko Bhi Dekh Lena
Jo Raaigan Ho Gain Wo Sari Ibadatein Bhi Shumar Karna
Looh = Title; Raaigan = Waste
Ye Sardiyon Ka Udas Mausam Ke Dharkanein Baraf Ho Gayn
Jab Un Ki Ykh Bastagi Parakhna, Tamazatein Bhi Shumar Karna
Dharkanein = Beats; Ykh Bastagi = Very Coldness; Tamazatein = Heat;
Tum Apni Majboorion Ke Qisse Zaroor Likhna Wazahaton Se
Jo Meri Aankhon Mein Jal Bujhi Hain Wo Khwahishein Bhi Shumar Karna
Wazahaton = Explanations;

No comments:

Post a Comment