Baray-e-nam sahi koi meharban to hai
hamare sar pe bhi hone ko aasaman to hai
teri farakhdili ko duayen deta hun
mere labon pe tere lams ka nishan to hai
ye aur bat ki wo ab yahan nahi rahata
magar ye us ka basaya hua makan to hai
alava is ke na kuch aur parda rakh mujh se
fasil-e-jism mere tere darmiyan to hai
bichad ke zinda nahi rah sakenge hum donon
mujhe ye vaham to hai un ko ye guman to hai
saron pe sayafigan abr-e-arazu na sahi
hamare pas sarabon ka sayaban to hai
gul-e-murad nahi sang-haye-tifl sahi
garib-e-shahar ka aakhir kisi ko dhyan to hai
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Aqeel Shadab
No comments:
Post a Comment