Safar-e-manzil-e-shab yaad nahi
log rukhsat huye kab yaad nahi
dil mein har waqt chubhan rahati thi
thi mujhe kis ke talab yaad nahi
wo sitara thi ke shabanam thi ke phul
ik surat thi ajab yaad nahi
aisa ulajha hun gam-e-duniya mein
ek bhi khvab-e-tarab yaad nahi
bhulate jate hain mazi ke dayar
yaad aayen bhi to sab yaad nahi
ye haqiqat hai ke ahabab ko hum
yaad hi kab the ke ab yaad nahi
yaad hai sair-e-charagan “nasir”
di ke bujhane ka sabab yaad nahi
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Nasir Kazmi
No comments:
Post a Comment