Zamin pe fasl-e-gul aayi falak par mahatab aaya
sabhi aaye magar koi na shayan-e-shabab aaya
mera khat padh ke bole namabar se ja khudahafiz
javab aaya meri qismat se lekin lajavab aaya
ujale garmi-e-raftar ka hi sath dete hain
basera tha jahan apna waheen tak aaftab aaya
“shakeel” apne mazaq-e-did ke takamil kya hoti
idhar nazron ne himmat ke udhar rukh par naqab aaya
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Shakeel Badayuni
No comments:
Post a Comment