Dard minnatkashe-dava na hua
main na acha hua, bura na hua
jama karte ho kyon raqibon ko
ik tamasha hua gila na hua
hum kahan qismat aazamane jayen
tu hi jab khanjar aazama na hua
kitne shirin hain tere lab ki raqib
galiyan khake bemaza na hua
hai khabar garm unake aane ki
aj hi ghar mein boriya na hua
kya wo namarud ki khudai thi
bandagi mein mera bhala na hua
jan di, di hui usi ki thi
haq to yun hai ki haq ada na hua
zakhm gar dab gaya lahu na thama
kam gar ruk gaya rava na hua
rahazani hai ki dilsitanee hai
leke dil, dilsitan rava na hua
kuch to padhiye ki log kahate hain
aj ‘ghalib’ gazalsara na hua
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Mirza Ghalib
No comments:
Post a Comment