matti ke imarat saya dekar matti mein hamvar hui
virani se ab kam hai aur virani kis ke yar hui
dar-dar ke qadam yun rakhta hun khwabon ke sahara mein
ye reg abhi zanjir bani ye chanv abhi divar hui
har patti bojhil ho ke giri sab shakhen jhuk kar toot gain
us barish hi se fasal ujadi jis barish se taiyar hui
ab ye bhi nahi hai bas mein ke hum phoolon ke dagar par laut chalen
jis rahguzar par chalana hai wo rahguzar talavar hui
chuti hai zara jab tan ko hawa chubhate hain ragon mein kanten se
sau bar khizan aayi hogi mahasus magar is bar hui
wo nale hain betabi ke chikh uthta hai sannata bhi
ye dard ke shab malum nahi kab tak ke liye bedar hui
likhi hain shikasten itni jahan maqtal mein vahan ye bhi likh do
kitni shamshiren toot gain kitne dushmanon ke har hui
ab gair hawa kitni hi chale ab garm fiza kitni hi rahe
sine ka zakhm charag bana daman ke aag bahar hui
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam :Mahashar Badayuni
No comments:
Post a Comment