Wednesday, December 23, 2015

Zakham e Tanhaayi Main Khushboo e Hina



Zakham E Tanhaayi Main Khushboo E Hina Kis Ki Thi
Saaya Deewar Par Mera Tha, Sada Kis Ki Thi


Us Ki Raftaar Se Lipti Rahi Aankhain Meri
Us Ne Murr Kar Bhi Na Dekha Ke Wafa Kis Ki Thi


Aansoun Se Hi Bhar Gaya Daaman Mera
Hath Tou Maine Uthaya Tha Dua Kis Ki Thi

Meri Aahon Ki Zubaan Koi Samjhta Kaise
Zindagi Itni Dukhi Mere Siwa Kis Ki Thi


Aag Se Dosti Us Ki Thi Jala Ghar Mera
De Gaye Kis Ko Saza Aur Khata Kis Ki Thi.



No comments:

Post a Comment