Thursday, December 3, 2015

Aj ashkon ka tar tut gaya – Saifuddin Saif



aj ashkon ka tar tut gaya
rishta-e-intazar tut gaya


yun wo thukara ke chal diye goya
ik khilauna tha pyar tut gaya


roye rah-rah kar hichkiyan lekar
saz-e-gam bar bar tut gaya


aap ke berukhi ka shikava kya
dil tha napaidar tut gaya


dekh li dil ne besabati-e-gul
phir tilism-e-bahar tut gaya


‘saif’ kya char din ke ranjish se
itani muddat ka pyar tut gaya


koi to bat chide aj bahut jee hai udas
kam se kam rahamat-e-agyar ke baten hi sahi


ab to tanhai ko ye karb na hoga bardasht
kuch nahi to dar-o-divar ke baten hi sahi


ye bhi kya kam hai unhen qurbat-e-gul to hai nasib
aj gul ke na sahi khar ke baten hi sahi


ye to tai hai ki jiye jayenge har hal mein hum
un ke lab par rasan-o-dar ke baten hi sahi


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Saifuddin Saif



No comments:

Post a Comment