Tuesday, December 15, 2015

Maut Aayi To Mar Jaunga



Kaun Kahata Hai Ke Maut Aayi To Mar Jaunga
Main To Darya Hun Samandar Mein Utar Jaunga


Tera Dar Chor Ke Main Aur Kidhar Jaunga
Ghar Mein Ghir Jaunga Sahara Mein Bikhar Jaunga


Tere Pahlu Se Jo Uthunga To Mushkil Ye Hai
Sirf Ik Shakhs Ko Paunga Jidhar Jaunga

Ab Tere Shehar Mein Aunga Musafir Ki Tarah
Saya-E-Abr Ki Manind Guzar Jaunga


Tera Paiman-E-Wafa Rah Ki Divar Bana
Warna Socha Tha Ke Jab Chahunga Mar Jaunga


Charasazon Se Alag Hai Mera Mayar Ke Main
Zakhm Khaunga To Kuch Aur Sanvar Jaunga


Ab To Khurshid Ko Dube Hue Sadiyan Guzrin
Ab Use Dhundne Main Ta-Ba-Sahar Jaunga


Zindagi Shamma Ki Manind Jalata Hun
Bujh To Jaunga Magar Subah To Kar Jaunga



No comments:

Post a Comment